silsile sawalon ke
hazāroñ sadiyāñ guzar chukī haiñ
kisī samay meñ vo thī satvantī
kahīñ sāvitrī
kahīñ thī miirā
har ek yug meñ
aqīdatoñ kī lahar meñ bhīgī
tapasyā ke sehr meñ gum-sum
rivāyatoñ ke nashe meñ Duubī
tumhāre qadmoñ kī gard ko vo tilak banātī
diye jalātī thī naqsh-e-pā par
janam janam kā aTuuT rishta
nibāhe jaatī
hazāroñ sadiyoñ safar kiyā hai
nazar jamā.e
tumhāre pīchhe
tumhāre dukh par dukhī huī hai
tumhāre sukh par sukhī huī hai
magar batāo
hazāroñ sadiyoñ ke darmiyāñ koī aisā lamha
jo tum ne is ke liye jiyā ho
sivā.e aañsū ke koī jugnū
kabhī jo āñchal meñ jaḌ diyā ho
purāne bargad pe ek dhāgā
kahīñ to us ke bhī naam kā ho
añdherī tāqoñ pe us kī ḳhātir
rakhā huā bhī to ik diyā ho
nahīñ hai kuchh bhī
kahīñ nahīñ hai
vo apnī tārīḳh meñ tumhārā
likhe bhī gar naam
kis tarah se
hazaron sadiyan guzar chuki hain
kisi samay mein wo thi satwanti
kahin sawitri
kahin thi mera
har ek yug mein
aqidaton ki lahar mein bhigi
tapasya ke sehr mein gum-sum
riwayaton ke nashe mein Dubi
tumhaare qadmon ki gard ko wo tilak banati
diye jalati thi naqsh-e-pa par
janam janam ka aTuT rishta
nibahe jati
hazaron sadiyon safar kiya hai
nazar jamae
tumhaare pichhe
tumhaare dukh par dukhi hui hai
tumhaare sukh par sukhi hui hai
magar batao
hazaron sadiyon ke darmiyan koi aisa lamha
jo tum ne is ke liye jiya ho
siwae aansu ke koi jugnu
kabhi jo aanchal mein jaD diya ho
purane bargad pe ek dhaga
kahin to us ke bhi nam ka ho
andheri taqon pe us ki KHatir
rakha hua bhi to ek diya ho
nahin hai kuchh bhi
kahin nahin hai
wo apni tariKH mein tumhaara
likhe bhi gar nam
kis tarah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.