singapore
saat samundar paar ga.e haiñ nānā-jān
devoñ pariyoñ kā ek des hai singapore
singapore se jab ā.eñge
shīshe kī golī lā.eñge
na.e na.e kapḌe lā.eñge
geñd bhī ik ḳharbūze vaalī
jis meñ
laal hare
piile
sab rañg raheñge
lekin jab maiñ sochtā huuñ to
Dar lagtā hai
dev kahīñ naanā se mere
saarī chīzeñ chhīn na leñ
chhīneñge to
hāfiz-jī se kah dūñgā
hāfiz-jī se sab Darte haiñ
sat samundar par gae hain nana-jaan
dewon pariyon ka ek des hai singapore
singapore se jab aaenge
shishe ki goli laenge
nae nae kapDe laenge
gend bhi ek KHarbuze wali
jis mein
lal hare
pile
sab rang rahenge
lekin jab main sochta hun to
Dar lagta hai
dew kahin nana se mere
sari chizen chhin na len
chhinenge to
hafiz-ji se kah dunga
hafiz-ji se sab Darte hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 130)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.