sipahi
jaane vaale sipāhī se pūchho
vo kahāñ jā rahā hai
kaun dukhiyā hai jo gā rahī hai
bhūke bachchoñ ko bahlā rahī hai
laash jalne kī bū aa rahī hai
zindagī hai ki chillā rahī hai
jaane vaale sipāhī se pūchho
vo kahāñ jā rahā hai
kitne sahme hue haiñ nazāre
kaise Dar Dar ke chalte haiñ taare
kyā javānī kā ḳhuuñ ho rahā hai
surḳh haiñ āñchaloñ ke kināre
jaane vaale sipāhī se pūchho
vo kahāñ jā rahā hai
gir rahā hai sipāhī kā Derā
ho rahā hai mirī jaañ saverā
aur vatan chhoḌ kar jaane vaale
khul gayā inqilābī pharerā
jaane vaale sipāhī se pūchho
vo kahāñ jā rahā hai
jaane wale sipahi se puchho
wo kahan ja raha hai
kaun dukhiya hai jo ga rahi hai
bhuke bachchon ko bahla rahi hai
lash jalne ki bu aa rahi hai
zindagi hai ki chilla rahi hai
jaane wale sipahi se puchho
wo kahan ja raha hai
kitne sahme hue hain nazare
kaise Dar Dar ke chalte hain tare
kya jawani ka KHun ho raha hai
surKH hain aanchalon ke kinare
jaane wale sipahi se puchho
wo kahan ja raha hai
gir raha hai sipahi ka Dera
ho raha hai meri jaan sawera
aur watan chhoD kar jaane wale
khul gaya inqilabi pharera
jaane wale sipahi se puchho
wo kahan ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.