sipahi ka marsiya
uTTho ab maaTī se uTTho
jaago mere laal
ab jaago mere laal
tumrī sej javān kāran
dekho aa.ī rain añdhyāran
niile shaal do-shāle le kar
jin meñ in dukhiyan akhiyan ne
Dher kiye haiñ itne motī
itne motī jin kī jyotī
daan se tumrā
jag jag laagā
naam chamakne
uTTho ab maaTī se uTTho
jaago mere laal
ab jaago mere laal
ghar ghar bikhrā bhor kā kundan
ghor-añdherā apnā āñgan
jaane kab se raah take haiñ
baalī dulhaniyā bāñke vīran
suunā tumrā raaj paḌā hai
dekho kitnā kaaj paḌā hai
bairī birāje rāj-siñghāsan
tum maaTī meñ laal
uTTho ab maaTī se uTTho, jaago mere laal
haT na karo maaTī se uTTho, jaago mere laal
ab jaago mere laal
uTTho ab maTi se uTTho
jago mere lal
ab jago mere lal
tumri sej jawan karan
dekho aai rain andhyaran
nile shaal do-shaale le kar
jin mein in dukhiyan akhiyan ne
Dher kiye hain itne moti
itne moti jin ki jyoti
dan se tumra
jag jag laga
nam chamakne
uTTho ab maTi se uTTho
jago mere lal
ab jago mere lal
ghar ghar bikhra bhor ka kundan
ghor-andhera apna aangan
jaane kab se rah take hain
baali dulhaniya banke wiran
suna tumra raj paDa hai
dekho kitna kaj paDa hai
bairi biraje raj-singhasan
tum maTi mein lal
uTTho ab maTi se uTTho, jago mere lal
haT na karo maTi se uTTho, jago mere lal
ab jago mere lal
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 412)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.