sipahi ki sharik-e-zindagi
vatan kī anjuman meñ sham' ban ke raushnī dī hai
pighal kar qaum ko maiñ ne baḌī āsūdgī dī hai
mire zabt-e-fuġhāñ ne mulk ke dil ko ḳhushī dī hai
ḳhudā ne mujh ko himmat muskurāhaT sādgī dī hai
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
maiñ dīgar 'auratoñ kī tarh shikve kar nahīñ saktī
zamāne kī shikāyat naaz naḳhre kar nahīñ saktī
guzartī jo bhī hai dil par maiñ charche kar nahīñ saktī
hazāroñ mushkileñ sah kar bhī shikve kar nahīñ saktī
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
mujhe mahsūs hotā hai ki maiñ bhārat kī 'azmat huuñ
vatan kī aabrū huuñ aan huuñ shaukat huuñ tāqat huuñ
mujassam mashriqī 'aurat huuñ tafsīr-e-mohabbat huuñ
maiñ huuñ sasurāl kī 'izzat maiñ maike kī sharāfat huuñ
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
farā.ez kī binā par vo bahut majbūr rahte haiñ
rafīq-e-zindagī ho kar bhī aksar duur rahte haiñ
ham un kī nek-nāmī par magar maġhrūr rahte haiñ
ġham-e-furqat hai lekin phir bhī ham masrūr rahte haiñ
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
bharosa hai ḳhudā par mujh ko ḳhud huuñ pāsbāñ apnī
maiñ ḳhud bāñg-e-jaras ḳhud hī amīr-e-kārvāñ apnī
shu’ūr-e-puḳhta mash'al rahnumā fikr-e-javāñ apnī
maiñ tanhā.ī kī ḳhūgar huuñ ḳhamoshī dāstāñ apnī
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
vatan kī sarhadoñ par maiñ jamā.e huuñ nigāhoñ ko
hifāzat jin kī sauñpī jā chukī hai sūrmāoñ ko
ḳhudā se iltijā hai sun le vo merī du'āoñ ko
sipāhī aur vatan se duur rakkhe kul balāoñ ko
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
zabāñ-zad nām-e-nāmī hai mirā himmat meñ jur.at meñ
nahīñ jhāñsī kī raanī se maiñ kam ‘azm-o-shujā’at meñ
nahīñ huuñ 'tāhira' kam chāñd-sultāna se 'izzat meñ
uThā saktī huuñ maiñ talvār bhārat kī himāyat meñ
sharīk-e-zindagī huuñ desh bhārat ke sipāhī kī
watan ki anjuman mein sham' ban ke raushni di hai
pighal kar qaum ko main ne baDi aasudgi di hai
mere zabt-e-fughan ne mulk ke dil ko KHushi di hai
KHuda ne mujh ko himmat muskurahaT sadgi di hai
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
main digar 'auraton ki tarh shikwe kar nahin sakti
zamane ki shikayat naz naKHre kar nahin sakti
guzarti jo bhi hai dil par main charche kar nahin sakti
hazaron mushkilen sah kar bhi shikwe kar nahin sakti
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
mujhe mahsus hota hai ki main bhaarat ki 'azmat hun
watan ki aabru hun aan hun shaukat hun taqat hun
mujassam mashriqi 'aurat hun tafsir-e-mohabbat hun
main hun sasural ki 'izzat main maike ki sharafat hun
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
faraez ki bina par wo bahut majbur rahte hain
rafiq-e-zindagi ho kar bhi aksar dur rahte hain
hum un ki nek-nami par magar maghrur rahte hain
gham-e-furqat hai lekin phir bhi hum masrur rahte hain
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
bharosa hai KHuda par mujh ko KHud hun pasban apni
main KHud bang-e-jaras KHud hi amir-e-karwan apni
shu’ur-e-puKHta mash'al rahnuma fikr-e-jawan apni
main tanhai ki KHugar hun KHamoshi dastan apni
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
watan ki sarhadon par main jamae hun nigahon ko
hifazat jin ki saunpi ja chuki hai surmaon ko
KHuda se iltija hai sun le wo meri du'aon ko
sipahi aur watan se dur rakkhe kul balaon ko
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
zaban-zad nam-e-nami hai mera himmat mein jurat mein
nahin jhansi ki rani se main kam ‘azm-o-shuja’at mein
nahin hun 'tahira' kam chand-sultana se 'izzat mein
uTha sakti hun main talwar bhaarat ki himayat mein
sharik-e-zindagi hun desh bhaarat ke sipahi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.