sipas-nama-e-bahaar-e-gham
jashn-e-bahārāñ meñ aaj
qasīda-e-gul chheḌeñ
mahfil meñ rañg bhar deñ
aur ināyat gul kā phir
bahār ko ehsānmand kar deñ
ki jaise sa.ādat-e-ġham se
girāñ-bār dil zaḳhm zaḳhm gul se
bahār-e-jāñ-fazā kā sazā-vār
ik alag tarah se
phir is gul-pairahan ko aaj
dil-sozī-e-jāñ kā qarz uThā.e
sipās-nāma-e-bahār-e-ġham meñ
marhabā marhabā kah deñ
jashn-e-bahaaran mein aaj
qasida-e-gul chheDen
mahfil mein rang bhar den
aur inayat gul ka phir
bahaar ko ehsanmand kar den
ki jaise saadat-e-gham se
giran-bar dil zaKHm zaKHm gul se
bahaar-e-jaan-faza ka saza-war
ek alag tarah se
phir is gul-pairahan ko aaj
dil-sozi-e-jaan ka qarz uThae
sipas-nama-e-bahaar-e-gham mein
marhaba marhaba kah den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.