sisakti mazlumiyat ke nam
ajab fazā hai
ajab udāsī
ajiib vahshat baras rahī hai
ajab hai ḳhauf-o-hirās har-sū
ajiib dahshat baras rahī hai
ajab ghuTan hai ajab ta.affun
maiñ kis jagah kis dayār meñ huuñ
ki jaise maqtal meñ aa gayā huuñ
maiñ qātiloñ ke hisār meñ huuñ
phaTī phaTī sī ye surḳh āñkheñ
sunahre ḳhvāboñ ko ro rahī haiñ
gunāh kaise hue haiñ sarzad
ye kin azāboñ ko ro rahī haiñ
ajab tarah kā ye imtihāñ hai
ġham-o-alam kā ye ik jahāñ hai
lahū se tahrīr dāstāñ hai
jarāhatoñ ke javān siine figār kyuuñ haiñ
ye bachche būḌhe shikār kyuuñ haiñ
javān lāshoñ pe bain kartī huī ye maa.eñ
ghuTī ghuTī sī ye siskiyāñ aur sitam ke māroñ kī ye sadā.eñ
lahū kā sadqa utārtī haiñ
falak kī jānib nazar uThā.e na jaane kis ko pukārtī haiñ
ye be-gharī hai nasīb kis kā
ye kaun ḳhemoñ meñ ro rahā hai
mizāj badlā hai āsmāñ ne
ki jo na honā thā ho rahā hai
savāl kartī hai ādamiyat
ye intihā par junūn kyuuñ hai
ki āstīnoñ pe qātiloñ kī
ye be-gunāhoñ kā ḳhuun kyuuñ hai
ḳhamosh haiñ ab
lahū ko paanī banāne vaale
haqīqatoñ ko bhī ik kahānī batāne vaale
sadāqatoñ ko chhupāne vaale
unheñ batāo ki ye ra.ūnat nahīñ rahegī
ye taaj sar par nahīñ raheñge
ye jāh-o-hashmat nahīñ rahegī
sahar ke imkān ho rahe haiñ
ye shab ye zulmat nahīñ rahegī
ajab faza hai
ajab udasi
ajib wahshat baras rahi hai
ajab hai KHauf-o-hiras har-su
ajib dahshat baras rahi hai
ajab ghuTan hai ajab taffun
main kis jagah kis dayar mein hun
ki jaise maqtal mein aa gaya hun
main qatilon ke hisar mein hun
phaTi phaTi si ye surKH aankhen
sunahre KHwabon ko ro rahi hain
gunah kaise hue hain sarzad
ye kin azabon ko ro rahi hain
ajab tarah ka ye imtihan hai
gham-o-alam ka ye ek jahan hai
lahu se tahrir dastan hai
jarahaton ke jawan sine figar kyun hain
ye bachche buDhe shikar kyun hain
jawan lashon pe bain karti hui ye maen
ghuTi ghuTi si ye siskiyan aur sitam ke maron ki ye sadaen
lahu ka sadqa utarti hain
falak ki jaanib nazar uThae na jaane kis ko pukarti hain
ye be-ghari hai nasib kis ka
ye kaun KHemon mein ro raha hai
mizaj badla hai aasman ne
ki jo na hona tha ho raha hai
sawal karti hai aadamiyat
ye intiha par junun kyun hai
ki aastinon pe qatilon ki
ye be-gunahon ka KHun kyun hai
KHamosh hain ab
lahu ko pani banane wale
haqiqaton ko bhi ek kahani batane wale
sadaqaton ko chhupane wale
unhen batao ki ye raunat nahin rahegi
ye taj sar par nahin rahenge
ye jah-o-hashmat nahin rahegi
sahar ke imkan ho rahe hain
ye shab ye zulmat nahin rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.