sitara-e-bulandi
Interesting Fact
Aligarh 18 May 1998
dublī-patlī miyāna qad kī
achchhe ḳhāse ḳhāl-o-ḳhad kī
gehuāñ rang sarāpā saada
kyā hai sān.e.a terā irāda
kam-goī kī mahak bātoñ meñ
man hī man shaffāf āñkhoñ meñ
bachpan bachpan us kī javānī
bantī mustaqbil kī kahānī
khoj meñ gum afkār meñ ġhaltāñ
apnī dhun meñ shādāñ farhāñ
sar meñ bulandī kī ḳhvāhish
māthe par mahtāb kī tābish
dubli-patli miyana qad ki
achchhe KHase KHal-o-KHad ki
gehuan rang sarapa sada
kya hai sanea tera irada
kam-goi ki mahak baaton mein
man hi man shaffaf aankhon mein
bachpan bachpan us ki jawani
banti mustaqbil ki kahani
khoj mein gum afkar mein ghaltan
apni dhun mein shadan farhan
sar mein bulandi ki KHwahish
mathe par mahtab ki tabish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.