sitara-e-larzan
abhī to yuuñ mirī palkoñ pe jhilmilātā hai
bikhar na jaa.e kahīñ TuuT kar ye dāman meñ
yahī ḳhayāl mujhe baar baar aatā hai
baḌā sukūñ baḌī āfiyat hai palkoñ ko
hayāt in meñ simaT aa.ī hai zamāne kī
ḳhudā rakhe mire in durr-e-āb-dāroñ ko
mizha pe hai mirī shabnam bhī aur sharāra bhī
ġhamoñ kī bazm kā hai ik hasīn guldasta
ufuq ke paar chamaktā huā sitāra bhī
sitam sitam mirī palkoñ pe vo bhī rah na sakā
burā ho terā are sail-e-girya-e-betāb
ki ik sitāra-e-larzāñ fazā meñ Duub gayā
abhi to yun meri palkon pe jhilmilata hai
bikhar na jae kahin TuT kar ye daman mein
yahi KHayal mujhe bar bar aata hai
baDa sukun baDi aafiyat hai palkon ko
hayat in mein simaT aai hai zamane ki
KHuda rakhe mere in durr-e-ab-daron ko
mizha pe hai meri shabnam bhi aur sharara bhi
ghamon ki bazm ka hai ek hasin guldasta
ufuq ke par chamakta hua sitara bhi
sitam sitam meri palkon pe wo bhi rah na saka
bura ho tera are sail-e-girya-e-betab
ki ek sitara-e-larzan faza mein Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.