nikal kar jū-e-naġhma ḳhuld-zār-e-māh-o-anjum se
fazā kī vus.atoñ meñ hai ravāñ āhista āhista
ba-sū-e-nauha-ābād-e-jahāñ āhista āhista
nikal kar aa rahī hai ik gulistān-e-tarannum se
sitāre apne mīThe madh-bhare halke tabassum se
kiye jaate haiñ fitrat ko javāñ āhista āhista
sunāte haiñ use ik dāstāñ āhista āhista
dayār-e-zindagī mad.hosh hai un ke takallum se
yahī aadat hai roz-e-avvalīñ se un sitāroñ kī
chamakte haiñ ki duniyā meñ masarrat kī hukūmat huuñ
chamakte haiñ ki insāñ fikr-e-hastī ko bhulā Daale
liye hai ye tamannā har kiran un nūr-pāroñ kī
kabhī ye ḳhāk-dāñ gahvāra-e-husn-o-latāfat ho
kabhī insān apnī gum-shuda jannat ko phir pā le
nikal kar ju-e-naghma KHuld-zar-e-mah-o-anjum se
faza ki wusaton mein hai rawan aahista aahista
ba-su-e-nauha-abaad-e-jahan aahista aahista
nikal kar aa rahi hai ek gulistan-e-tarannum se
sitare apne miThe madh-bhare halke tabassum se
kiye jate hain fitrat ko jawan aahista aahista
sunate hain use ek dastan aahista aahista
dayar-e-zindagi madhosh hai un ke takallum se
yahi aadat hai roz-e-awwalin se un sitaron ki
chamakte hain ki duniya mein masarrat ki hukumat hun
chamakte hain ki insan fikr-e-hasti ko bhula Dale
liye hai ye tamanna har kiran un nur-paron ki
kabhi ye KHak-dan gahwara-e-husn-o-latafat ho
kabhi insan apni gum-shuda jannat ko phir pa le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.