siyah lahu
ek dal aur itne bār-e-garāñ
ūñghte peḌ sar-nigūñ galiyāñ
muzmahil nuur muzmahil ḳhushiyāñ
an-ginat ḳhvāb an-ginat armāñ
be-mahak phuul adh-khilī kaliyāñ
bādshāhoñ kā qissa-e-man-o-tū
tiira sikkoñ kā tīra-tar jaadū
surḳh tārīkiyāñ siyāh lahū
muntashir raat muntashir gesū
be-asar aah be-asar aañsū
zehn kī qabr dil kā vīrāna
fikr-e-rozī talāsh-e-mai-ḳhāna
koī bā-aql koī dīvāna
merī tahqīq us kā afsāna
zard battī udaas parvāna
al-ġharaz ik na ik ġham-e-gul-o-ḳhār
falsafe kā ḳhumār ishq kā baar
dil ko ik sub.h-o-shām kā āzār
hasrat-e-sulh-o-hasrat-e-paikār
said-e-iblīs-o-kushta-e-yazdāñ
ek dal aur itne bar-e-garan
unghte peD sar-nigun galiyan
muzmahil nur muzmahil KHushiyan
an-ginat KHwab an-ginat arman
be-mahak phul adh-khili kaliyan
baadshahon ka qissa-e-man-o-tu
tera sikkon ka tira-tar jadu
surKH tarikiyan siyah lahu
muntashir raat muntashir gesu
be-asar aah be-asar aansu
zehn ki qabr dil ka virana
fikr-e-rozi talash-e-mai-KHana
koi ba-aql koi diwana
meri tahqiq us ka afsana
zard batti udas parwana
al-gharaz ek na ek gham-e-gul-o-KHar
falsafe ka KHumar ishq ka bar
dil ko ek subh-o-sham ka aazar
hasrat-e-sulh-o-hasrat-e-paikar
said-e-iblis-o-kushta-e-yazdan
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Roshni) (Pg. 28)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.