siyahi-e-shab
siyāhī-e-shab
mujhe kuchh aisā mahsūs ho rahā hai
ki jaise koī siyāh nāgin
kiran kī dahlīz par khaḌī ho
agar vo bāhar qadam nikāle
to us ko Das kar halāk kar de
kiran
añdhere se itnī ḳhā.if
ki jaise koī hasīn hirnī
kisī darinde ke Dar se jā kar
ghane daraḳhtoñ meñ chhup ga.ī ho
vo ḳhauf se thartharā rahī ho
ki jaise tūfāñ se shāḳh kāñpe
vo chāroñ jānib
hirāsāñ nazroñ se tak rahī ho
kiran hai ḳhā.if
siyāhī ġhālib
na jaane kab tīrgī kaTegī
na jaane kab raushnī milegī
siyahi-e-shab
mujhe kuchh aisa mahsus ho raha hai
ki jaise koi siyah nagin
kiran ki dahliz par khaDi ho
agar wo bahar qadam nikale
to us ko Das kar halak kar de
kiran
andhere se itni KHaif
ki jaise koi hasin hirni
kisi darinde ke Dar se ja kar
ghane daraKHton mein chhup gai ho
wo KHauf se tharthara rahi ho
ki jaise tufan se shaKH kanpe
wo chaaron jaanib
hirasan nazron se tak rahi ho
kiran hai KHaif
siyahi ghaalib
na jaane kab tirgi kaTegi
na jaane kab raushni milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.