siyasat
hai koī to baat jo vo āvāz dabāne pe āmāda hai
lagā le jitnā dam ho apnā bhī mazbūt irāda hai
kifāyatī ta.alīm-o-ilāj kī haqdār hai avaam
raqam vahāñ se nikāle jin ke paas zarūrat se ziyāda hai
aage chal kar yahī paḌhne vaale log desh ko aage le jā.eñge
ye kyā tahzīb ki zarūrat-mand ko kahte ho harām-zāda hai
kursī pe baiTh ke ḳhud ko vazīr samajh rahā hai vo bad-gumāñ
us ko ye batā do ki vo bisāt kā bas ek piyāda hai
hai koi to baat jo wo aawaz dabane pe aamada hai
laga le jitna dam ho apna bhi mazbut irada hai
kifayati talim-o-ilaj ki haqdar hai awam
raqam wahan se nikale jin ke pas zarurat se ziyaada hai
aage chal kar yahi paDhne wale log desh ko aage le jaenge
ye kya tahzib ki zarurat-mand ko kahte ho haram-zada hai
kursi pe baiTh ke KHud ko wazir samajh raha hai wo bad-guman
us ko ye bata do ki wo bisat ka bas ek piyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.