siyasat
mukaddar hai fazā-e-ālam-e-imkāñ siyāsat se
bahut be-ābrū hai āj-kal insāñ siyāsat se
zamīr-o-zarf kī us ke yahāñ qīmat nahīñ koī
jahāñ meñ dar-ba-dar haiñ sāhab-e-īmāñ siyāsat se
ye ehsāsāt-e-tahzīb-o-tamaddun ko miTātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
nahīñ sheva siyāsat kā mohabbat aur ravādārī
sikhātī hai parastāroñ ko apne ye riyā-kārī
na is kā koī maslak hai na is kā koī maz.hab hai
dil-e-hirs-o-havas meñ ban ke rahtī hai ye chingārī
kisī kā ghar girātī hai kisī kā ghar sajātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
laḌātī hai yahī ik dūsre ko zāt-o-mazhab par
isī kī shah pe qatl-e-ām hotā hai yahāñ aksar
ra.ūnat ye sikhātī hai munāfiq hukmarānoñ ko
isī ke batn se hote haiñ paidā jabr-o-zulm-o-shar
ye apne muhsinoñ kā ḳhuun pī kar muskurātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
sadā ye ittihād-e-bāhamī par vaar kartī hai
ta.assub ko havā detī hai dil bezār kartī hai
kahīñ ta.amīr kartī hai ibādat-gāh fitnoñ se
kahīñ ḳhud hī ibādat-gāh ko mismār kartī hai
fareb-o-makr se apne ye har-sū qahr Dhātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
isī ke dam se fasleñ lahlahātī haiñ fasādoñ kī
yahī takmīl kartī hai hukūmat ke irādoñ kī
isī kī maslahat se buġhz ke paude panapte haiñ
girā detī hai ye dīvār bāham e'timādoñ kī
havā de kar ye bad-unvāniyoñ kī lau baḌhātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
ishāre par isī ke shahr qasbe gaañv jalte haiñ
isī kī āstīñ meñ sāzishoñ ke naag palte haiñ
sitamgāroñ pe kartī hai ye saaya apne āñchal kā
isī kī aaḌ meñ ashrār-o-qātil bach nikalte haiñ
ye qānūn-o-adālat ko bhī ab āñkheñ dikhātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
jasārat ko yahī dahshat-garī kā naam detī hai
ye ham-sā.e ko ḳhud hī jang kā paiġhām detī hai
badaltī hai yahī taqdīr arbāb-e-qayādat kī
ye apne vārisoñ ko sarḳhushī kā jaam detī hai
ye va.adoñ ke gharauñde regzāroñ meñ banātī hai
siyāsat āj-kal kī kaise kaise gul khilātī hai
mukaddar hai faza-e-alam-e-imkan siyasat se
bahut be-abru hai aaj-kal insan siyasat se
zamir-o-zarf ki us ke yahan qimat nahin koi
jahan mein dar-ba-dar hain sahab-e-iman siyasat se
ye ehsasat-e-tahzib-o-tamaddun ko miTati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
nahin shewa siyasat ka mohabbat aur rawadari
sikhati hai parastaron ko apne ye riya-kari
na is ka koi maslak hai na is ka koi mazhab hai
dil-e-hirs-o-hawas mein ban ke rahti hai ye chingari
kisi ka ghar giraati hai kisi ka ghar sajati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
laDati hai yahi ek dusre ko zat-o-mazhab par
isi ki shah pe qatl-e-am hota hai yahan aksar
raunat ye sikhati hai munafiq hukmaranon ko
isi ke batn se hote hain paida jabr-o-zulm-o-shar
ye apne muhsinon ka KHun pi kar muskuraati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
sada ye ittihad-e-bahami par war karti hai
tassub ko hawa deti hai dil bezar karti hai
kahin tamir karti hai ibaadat-gah fitnon se
kahin KHud hi ibaadat-gah ko mismar karti hai
fareb-o-makr se apne ye har-su qahr Dhati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
isi ke dam se faslen lahlahati hain fasadon ki
yahi takmil karti hai hukumat ke iradon ki
isi ki maslahat se bughz ke paude panapte hain
gira deti hai ye diwar baham e'timadon ki
hawa de kar ye bad-unwaniyon ki lau baDhati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
ishaare par isi ke shahr qasbe ganw jalte hain
isi ki aastin mein sazishon ke nag palte hain
sitamgaron pe karti hai ye saya apne aanchal ka
isi ki aaD mein ashrar-o-qatil bach nikalte hain
ye qanun-o-adalat ko bhi ab aankhen dikhati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
jasarat ko yahi dahshat-gari ka nam deti hai
ye ham-sae ko KHud hi jang ka paigham deti hai
badalti hai yahi taqdir arbab-e-qayaadat ki
ye apne warison ko sarKHushi ka jam deti hai
ye wadon ke gharaunde regzaron mein banati hai
siyasat aaj-kal ki kaise kaise gul khilati hai
- Book : Raqs-e-Qalam (Pg. 37)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Mohammad Tariq and Aabshar Ahmad, Shahwar Ahmad (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.