slum dogs
garmiyoñ ke mausam meñ
lālTain kī aag señkte haiñ
to ThanDā bulb muskurātā hai
aur hamārī bebasī par muñh chiḌātā hai
bahut sī haDDiyāñ
khaal ke thaile meñ paḌī chubhtī rahtī haiñ
rozāna ka.ī kutte
ḳhurāk kī talāsh meñ masrūf
kachre ke Dher pe
ek dūsre par ġhurrāte haiñ
zamīn ke bāloñ meñ kañghī kartī
garm sard havā.eñ
ḳhayāloñ kī purānī deg meñ baas mārte ḳhvāb
kolhūoñ kī bhaTTī ke paas jaltā sard ḳhuun
aaheñ bhartī pairoñ meñ bikhrī siskiyāñ
anjān saḌak pe udhḌā paḌā lā-vāris peT
jise ajnabī sho.abada-bāz
hañsī kī Thokareñ maar kar guzar jaate haiñ
garmiyon ke mausam mein
lalTain ki aag senkte hain
to ThanDa bulb muskuraata hai
aur hamari bebasi par munh chiData hai
bahut si haDDiyan
khaal ke thaile mein paDi chubhti rahti hain
rozana kai kutte
KHurak ki talash mein masruf
kachre ke Dher pe
ek dusre par ghurraate hain
zamin ke baalon mein kanghi karti
garm sard hawaen
KHayalon ki purani deg mein bas marte KHwab
kolhuon ki bhaTTi ke pas jalta sard KHun
aahen bharti pairon mein bikhri siskiyan
anjaan saDak pe udhDa paDa la-waris peT
jise ajnabi shoabada-baz
hansi ki Thokaren mar kar guzar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.