soch bin
merī majrūh ḳhalvat
duhā.ī pe utre bhī to kis tarah
zahr-e-shar sharbat-e-ḳhair ke zā.iqe
mere nutq-o-zabāñ ke liye vaqf haiñ
sirf sūd-o-ziyāñ ke liye vaqf haiñ
maiñ tasavvur kā muhtāj
sūrat-garī se bahaltā rahūñ
zehn ke niim ujāloñ meñ
girtā sañbhaltā rahūñ
halqa-e-roz-o-shab se machaltī huī
saarī chiñgāriyāñ mujh pe barsā kareñ
bahr-e-idrāk ke sab ke sab jazr-o-mad
mujh pe TuuTā kareñ
maiñ nigāhoñ meñ ḳhār-e-muġhīlāñ liye
bas zamīnoñ zamīnoñ bhaTaktā rahūñ
apne saa.e ko halkā sā nuqta kiye
anginat nīm-ḳhvābīda āñkhoñ ko taktā rahūñ
apnī pahchān ke vāste apnī tārīf meñ
sirf itnā kahūñ
maiñ ikā.ī-gazīda sar-e-anjuman
mere chāroñ taraf
be-amāñ ik gagan
soch bin
soch bin sūraj bin
meri majruh KHalwat
duhai pe utre bhi to kis tarah
zahr-e-shar sharbat-e-KHair ke zaiqe
mere nutq-o-zaban ke liye waqf hain
sirf sud-o-ziyan ke liye waqf hain
main tasawwur ka muhtaj
surat-gari se bahalta rahun
zehn ke nim ujalon mein
girta sanbhalta rahun
halqa-e-roz-o-shab se machalti hui
sari chingariyan mujh pe barsa karen
bahr-e-idrak ke sab ke sab jazr-o-mad
mujh pe TuTa karen
main nigahon mein KHar-e-mughilan liye
bas zaminon zaminon bhaTakta rahun
apne sae ko halka sa nuqta kiye
anginat nim-KHwabida aankhon ko takta rahun
apni pahchan ke waste apni tarif mein
sirf itna kahun
main ikai-gazida sar-e-anjuman
mere chaaron taraf
be-aman ek gagan
soch bin
soch bin suraj bin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.