bahut der ho ga.ī
yuuñ jāgte jāgte
aisā lagtā hai jaise būḌhā ho gayā huuñ
yā ham vo haiñ jinheñ būḌhā hī janā gayā
haath paañv bhī javāb de raheñ haiñ
Thiik se dikhā.ī bhī nahīñ de rahā
āñkheñ jaise dhūñdhiyā ga.iiñ hoñ
shāyad
aañsū haiñ
palkoñ kī dahlīz bhī paar nahīñ kar pā raheñ
ab to jaane do
kuchh der ke liye so jaane do
jaane yuuñ ki abhī kahīñ se
vo ik farishta mere ta.āqub meñ aa nikle
thoḌī sī niiñd puurī kar luuñ
phir us ke saath bhī jaanā hai
bahut der ho gai
yun jagte jagte
aisa lagta hai jaise buDha ho gaya hun
ya hum wo hain jinhen buDha hi jana gaya
hath panw bhi jawab de rahen hain
Thik se dikhai bhi nahin de raha
aankhen jaise dhundhiya gain hon
shayad
aansu hain
palkon ki dahliz bhi par nahin kar pa rahen
ab to jaane do
kuchh der ke liye so jaane do
jaane yun ki abhi kahin se
wo ek farishta mere taaqub mein aa nikle
thoDi si nind puri kar lun
phir us ke sath bhi jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.