soz-o-gudaz
kyoñ ta.ammul hai tujhe roz-e-ajal aane meñ
ziist kā lutf milegā mujhe mar jaane meñ
na suno qissa-e-ālām taḌap jāoge
dard aur soz bharā hai mire afsāne meñ
qalb-e-muztar ko banā rakhā hai ghar hirmāñ ne
aur kyā chiiz hai is dil ke siyah-ḳhāne meñ
ab chhalakne ko hai saaqī mire jīvan kā gilās
bhar gayā āb-e-fanā umr ke paimāne meñ
ḳhirman-e-sabr-o-sukūñ ḳhaak na ho kyoñ jal kar
bijliyāñ kauñd rahī haiñ mire kāshāne meñ
parda-e-jahl uThā dījiye āñkhoñ se zarā
jalva-e-haq nazar aa.egā sanam-ḳhāne meñ
'āftāb' aa ki musībat ke haiñ āsār ayaañ
josh-e-vahshat hai fuzūñ aur bhī dīvāne meñ
kyon tammul hai tujhe roz-e-ajal aane mein
zist ka lutf milega mujhe mar jaane mein
na suno qissa-e-alam taDap jaoge
dard aur soz bhara hai mere afsane mein
qalb-e-muztar ko bana rakha hai ghar hirman ne
aur kya chiz hai is dil ke siyah-KHane mein
ab chhalakne ko hai saqi mere jiwan ka gilas
bhar gaya aab-e-fana umr ke paimane mein
KHirman-e-sabr-o-sukun KHak na ho kyon jal kar
bijliyan kaund rahi hain mere kashane mein
parda-e-jahl uTha dijiye aankhon se zara
jalwa-e-haq nazar aaega sanam-KHane mein
'aftab' aa ki musibat ke hain aasar ayan
josh-e-wahshat hai fuzun aur bhi diwane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.