pila kutta
merā piilā kuttā
mere sāmne vaale zard pahāḌ ko jāntā hai
har patthar ko pahchāntā hai
sub.h savere
mere hāthoñ aur paañv ko
apnī piiTh pe lādtā hai
merī donoñ āñkhoñ ko apne bāloñ se Dhāñptā hai
phir apnī pūñchh ko mere dil ke khaTke meñ aTkā kar
zard chaḌhā.ī nāptā hai
mera pila kutta
mere samne wale zard pahaD ko jaanta hai
har patthar ko pahchanta hai
subh sawere
mere hathon aur panw ko
apni piTh pe ladta hai
meri donon aankhon ko apne baalon se Dhanpta hai
phir apni punchh ko mere dil ke khaTke mein aTka kar
zard chaDhai napta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.