Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-bahaar

Nafees Taqi

subh-e-bahaar

Nafees Taqi

MORE BYNafees Taqi

    murġhān-e-ḳhush-navā ne

    sūraj ko jab jagāyā

    utrī kiran zamīñ par

    dauḌī lahū meñ garmī

    uḌne lage parinde

    titlī guloñ pe baiThī

    rangat churā rahī hai

    shāyad paroñ ko apne

    shāyad paroñ ko apne

    rangīñ banā rahī hai

    nāzuk Dāliyoñ par

    ġhunche khilā rahī hai

    karne lagī chaman meñ

    bulbul ġhazal-sarā.ī

    shab sukūt TuuTā

    sub.h-e-bahār aa.ī

    bachche zahīn haiñ jo

    schōl rahe haiñ

    qaum-o-vatan goyā

    qismat banā rahe haiñ

    murghan-e-KHush-nawa ne

    suraj ko jab jagaya

    utri kiran zamin par

    dauDi lahu mein garmi

    uDne lage parinde

    titli gulon pe baiThi

    rangat chura rahi hai

    shayad paron ko apne

    shayad paron ko apne

    rangin bana rahi hai

    nazuk si Daliyon par

    ghunche khila rahi hai

    karne lagi chaman mein

    bulbul ghazal-sarai

    shab ka sukut TuTa

    subh-e-bahaar aai

    bachche zahin hain jo

    school ja rahe hain

    qaum-o-watan ki goya

    qismat bana rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now