subh-e-chaman
ye vaqt-e-sub.h ye samāñ
ye dīda-zeb gulistāñ
ye dil-fareb kiyāriyāñ
tuyūr ke ye chahchahe
ye dil-lagī ye qahqahe
ye mālneñ ye bāġhbāñ
bahār-e-jannat-nazar
tarab-fazā hai kis qadar
daraḳht haiñ idhar udhar
ajab fazā-e-nūr hai
surūr hī surūr hai
nahīñ hai kaun shādmāñ
zamīñ se tā-ba-āsmāñ
jamāl-e-dost zau-fishāñ
mile jo chashm-ārifāñ
chale mirī zabān-e-dil
banūñ meñ tarjumān-e-dil
sunā.ūñ rāz-e-qudsiyāñ
fazā bahār-ḳhez hai
havā surūr-bez hai
chaman mujhe aziiz hai
nisār dil bahār par
nigāh-e-marġh-zār par
ye kaif-e-dil ye bostāñ
nazzāra-bāz haiñ kahāñ
dikhā rahā hai āsmāñ
nazar-faroz surḳhiyāñ
zuhūr nuur se ḳhajil
raheñge sirf kor-dil
karūñgā maiñ to mastiyāñ
ḳhayāl bāda-rez hai
ye baada kaif-ḳhez hai
chaman bhī ḳhaas chiiz hai
girah-kushā-e-shauq-e-dil
asar-fazā-e-zauq-e-dil
ye vaqt-e-sub.h ye samāñ
ye waqt-e-subh ye saman
ye dida-zeb gulistan
ye dil-fareb kiyariyan
tuyur ke ye chahchahe
ye dil-lagi ye qahqahe
ye malnen ye baghban
bahaar-e-jannat-nazar
tarab-faza hai kis qadar
daraKHt hain idhar udhar
ajab faza-e-nur hai
surur hi surur hai
nahin hai kaun shadman
zamin se ta-ba-asman
jamal-e-dost zau-fishan
mile jo chashm-arifan
chale meri zaban-e-dil
banun mein tarjuman-e-dil
sunaun raaz-e-qudsiyan
faza bahaar-KHez hai
hawa surur-bez hai
chaman mujhe aziz hai
nisar dil bahaar par
nigah-e-margh-zar par
ye kaif-e-dil ye bostan
nazzara-baz hain kahan
dikha raha hai aasman
nazar-faroz surKHiyan
zuhur nur se KHajil
rahenge sirf kor-dil
karunga main to mastiyan
KHayal baada-rez hai
ye baada kaif-KHez hai
chaman bhi KHas chiz hai
girah-kusha-e-shauq-e-dil
asar-faza-e-zauq-e-dil
ye waqt-e-subh ye saman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.