subh-e-KHub-surat
vo apnī pasandīda lipstick
pistaul kī nok se lagātī hai
ka.ī tarah ke pasīnoñ kī ḳhushbuoñ se
us kī dressing Table bharī rahtī hai
use lifāfoñ ko bosoñ se
band karne kī purānī aadat hai
ḳhvāh Dākiya unheñ ḳhud paḌh le
us kī almārī
jaag kar badle jaane vaale kapḌoñ se
ḳhālī ḳhālī
chāñd use apne māthe
aur sitāre kalā.ī par bāñdhne se fursat nahīñ
nāshte kī mez par aḳhbār meñ use
guzishta shab kī surḳhī pasand hai
aur ḳhādimoñ meñ kutte
kisī na.e mehmān ko ḳhush-āmdīd kahne ko
har brand kā cigarette
us ne shaam se pahle hī le rakhā hai
vo alcohol kī botal
apne bed ke baa.eñ taraf
khiḌkī ke sāmne chhupā.e rakhtī hai
raat ga.e ek seb aur ḳhanjar
us ke sirhāne chamakte haiñ
aur añdhere us kā libās bane
saarī raat badan chaaT kar
sub.h kī raushnī tayyār karte rahte haiñ
wo apni pasandida lipstick
pistaul ki nok se lagati hai
kai tarah ke pasinon ki KHushbuon se
us ki dressing Table bhari rahti hai
use lifafon ko boson se
band karne ki purani aadat hai
KHwah Dakiya unhen KHud paDh le
us ki almari
jag kar badle jaane wale kapDon se
KHali KHali
chand use apne mathe
aur sitare kalai par bandhne se fursat nahin
nashte ki mez par aKHbar mein use
guzishta shab ki surKHi pasand hai
aur KHadimon mein kutte
kisi nae mehman ko KHush-amdid kahne ko
har brand ka cigarette
us ne sham se pahle hi le rakha hai
wo alcohol ki botal
apne bed ke baen taraf
khiDki ke samne chhupae rakhti hai
raat gae ek seb aur KHanjar
us ke sirhane chamakte hain
aur andhere us ka libas bane
sari raat badan chaT kar
subh ki raushni tayyar karte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.