subh-e-nau
raat guzrī
to na.ī sub.h numūdār huī
aur in band darīchoñ se mire kamre meñ
ek nau-ḳhez kiran
sub.h kā paiġhām liye
jaane kis samt se
āhista-ḳhirām aa.ī hai
zindagī raqs meñ hai
phuul khile jaate haiñ
ābshāroñ se ubalte hue naġhmāt-e-hasīñ
merā sarmāya-e-ehsās-o-yaqīñ
aaj har samt
nayā rang nayā husn nazar aatā hai
raat guzri
to nai subh numudar hui
aur in band darichon se mere kamre mein
ek nau-KHez kiran
subh ka paigham liye
jaane kis samt se
aahista-KHiram aai hai
zindagi raqs mein hai
phul khile jate hain
aabshaaron se ubalte hue naghmat-e-hasin
mera sarmaya-e-ehsas-o-yaqin
aaj har samt
naya rang naya husn nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.