subh-e-nau-ruz
phuuT paḌīñ mashriq se kirneñ
haal banā maazī kā fasāna
gūñjā mustaqbil kā tarāna
bheje haiñ ahbāb ne tohfe
aTe paḌe haiñ mez ke kone
dulhan banī huī haiñ rāheñ
jashn manāo sāl-e-nau ke
niklī hai bañgle ke dar se
ik muflis dahqān kī beTī
afsurda murjhā.ī huī sī
jism ke dukhte joḌ dabātī
āñchal se siine ko chhupātī
muTThī meñ ik note dabā.e
jashn manāo sāl-e-nau ke
bhūke zard gadāgar bachche
kaar ke pīchhe bhaag rahe haiñ
vaqt se pahle jaag uThe haiñ
piip bharī āñhkeñ sahlāte
sar ke phoḌoñ ko khujlāte
vo dekho kuchh aur bhī nikle
jashn manāo sāl-e-nau ke
phuT paDin mashriq se kirnen
haal bana mazi ka fasana
gunja mustaqbil ka tarana
bheje hain ahbab ne tohfe
aTe paDe hain mez ke kone
dulhan bani hui hain rahen
jashn manao sal-e-nau ke
nikli hai bangle ke dar se
ek muflis dahqan ki beTi
afsurda murjhai hui si
jism ke dukhte joD dabaati
aanchal se sine ko chhupati
muTThi mein ek note dabae
jashn manao sal-e-nau ke
bhuke zard gadagar bachche
kar ke pichhe bhag rahe hain
waqt se pahle jag uThe hain
pip bhari aanhken sahlate
sar ke phoDon ko khujlate
wo dekho kuchh aur bhi nikle
jashn manao sal-e-nau ke
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.