subh ka sawera
Interesting Fact
(A mother while waking up her daughter)
sub.h huī ab uTTho bachchī
niiñd abhī tak kyoñ hai kachchī
raat ga.ī vo sūraj niklā
vo phailā ghar bhar meñ ujālā
uTTho uTTho muñh dho Daalo
sustī ho to jā ke nahā lo
aapā jāgīñ bhayyā jaage
uThte hī bistar se bhāge
abbā uTThe daadī uTThīñ
aur namāzeñ sab ne paḌh liiñ
jaag uThā hai ghar bhar saarā
ye kaisā sonā hai tumhārā
sub.h savere sustī kaisī
aadat kuchh achchhī nahīñ aisī
sub.h kā manzar hai kyā achchhā
kitnā suhānā kaisā pyārā
uTh baiTho añgḌā.ī le kar
aur lapeTo apnā bistar
apne kaam karo tum ḳhud hī
baat yahī hai sab se achchhī
nāshta kar lo jaldī aa kar
phir paḌh aao jhaT jhaT jā kar
aaj nayā lenā hai sabaq phir
jaldī ulTe taaki varaq phir
ustānī ke ghar hai jaanā
kal kā sabaq un ko hai sunānā
paḌhne likhne hī meñ mazā hai
kaam isī se sab kā banā hai
hai yahī har laḌkī kā gahnā
hargiz tum be-kār na rahnā
sīkhnā hai phir khānā pakānā
rang apnā ghar bhar meñ jamānā
dekho apnī zid pe na uḌnā
sab ko tum se kaam hai paḌnā
dekho vaqt na apnā khonā
paḌhnā likhnā sapnā pironā
kaam se hargiz jī na churāo
taaki jahāñ meñ izzat paao
adab tamīz aur hunar salīqa
sīkho ghar meñ beTī rafīqa
siikh lo jaldī khānā pakānā
apnī maañ kā haath baTānā
ye sab tum jab siikh chukogī
ghar aur bāhar izzat hogī
sab ye kaheñge vaah rī laḌkī
tū hai kitnī achchhī beTī
tujh se kyā ḳhush jī hai hamārā
kitnī sughaḌ kyā kaam hai pyārā
jitnā pyārā kaam hai terā
duniyā bhar meñ naam hai terā
subh hui ab uTTho bachchi
nind abhi tak kyon hai kachchi
raat gai wo suraj nikla
wo phaila ghar bhar mein ujala
uTTho uTTho munh dho Dalo
susti ho to ja ke naha lo
aapa jagin bhayya jage
uThte hi bistar se bhage
abba uTThe dadi uTThin
aur namazen sab ne paDh lin
jag uTha hai ghar bhar sara
ye kaisa sona hai tumhaara
subh sawere susti kaisi
aadat kuchh achchhi nahin aisi
subh ka manzar hai kya achchha
kitna suhana kaisa pyara
uTh baiTho angDai le kar
aur lapeTo apna bistar
apne kaam karo tum KHud hi
baat yahi hai sab se achchhi
nashta kar lo jaldi aa kar
phir paDh aao jhaT jhaT ja kar
aaj naya lena hai sabaq phir
jaldi ulTe taki waraq phir
ustani ke ghar hai jaana
kal ka sabaq un ko hai sunana
paDhne likhne hi mein maza hai
kaam isi se sab ka bana hai
hai yahi har laDki ka gahna
hargiz tum be-kar na rahna
sikhna hai phir khana pakana
rang apna ghar bhar mein jamana
dekho apni zid pe na uDna
sab ko tum se kaam hai paDna
dekho waqt na apna khona
paDhna likhna sapna pirona
kaam se hargiz ji na churao
taki jahan mein izzat pao
adab tamiz aur hunar saliqa
sikho ghar mein beTi rafiqa
sikh lo jaldi khana pakana
apni man ka hath baTana
ye sab tum jab sikh chukogi
ghar aur bahar izzat hogi
sab ye kahenge wah ri laDki
tu hai kitni achchhi beTi
tujh se kya KHush ji hai hamara
kitni sughaD kya kaam hai pyara
jitna pyara kaam hai tera
duniya bhar mein nam hai tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.