subh ka tassur
savere
sair ko jaate hue mere ta.āqub meñ
parindoñ kī chahak
bād-e-sahar-gāhī ke halkore
ḳhumār o ḳhvāb kī saarī thakan maiñ bhuul jaatā huuñ
ḳhirām-e-kaif-āvar
taal ḳhush-raftār qadmoñ kī
ravāñ rakhtī hai ik anjān manzil kī taraf mujh ko
suhāne vaqt kī vo surma.ī dhundlī fazā
jis meñ ghane ashjār
shāḳh o barg
raqs āġhāz karte haiñ
daraḳhtoñ ke zamurrad rañg-e-pairāhan kī halchal par
shafaq apnā tabassum jab nichhāvar karne aatī hai
ruḳh giitī pe sharmā.ī huī sī tāzgī jis dam
nazar meñ qatra-e-shabnam kī sūrat jhilmilātī hai
ḳhayāl aatā hai tab mujh ko
ki is duniyā kī jannat meñ
falākat aur ġhurbat ke jahannam kyuuñ dahakte haiñ
ye husn-e-arz ke
taz.īn o ārā.ish ke shaidā.ī
ġham-o-andoh ke ġhāroñ meñ nafrat ke shikanjoñ meñ
ba-nām-e-zindagi kyūñki ajal kī raah takte haiñ
bhayānak raat chhā jaatī hai phir mere taḳhayyul par
to merī zehn ke mashriq se ik sūraj ubhartā hai
shuāoñ meñ payām-e-johd kī tābindagī le kar
tamāzat se yaqīn o azm ko ma.amūr kartā hai
sahar nā-āshnā dil gum na kar jaatī hai tārīkī
umīdoñ ārzūoñ kī ḳhabar laatī hai tārīkī
ḳhumār o ḳhvāb kī saarī thakan maiñ bhuul jaatā huuñ
sawere
sair ko jate hue mere taaqub mein
parindon ki chahak
baad-e-sahar-gahi ke halkore
KHumar o KHwab ki sari thakan main bhul jata hun
KHiram-e-kaif-awar
tal KHush-raftar qadmon ki
rawan rakhti hai ek anjaan manzil ki taraf mujh ko
suhane waqt ki wo surmai dhundli faza
jis mein ghane ashjar
shaKH o barg
raqs aaghaz karte hain
daraKHton ke zamurrad rang-e-pairahan ki halchal par
shafaq apna tabassum jab nichhawar karne aati hai
ruKH giti pe sharmai hui si tazgi jis dam
nazar mein qatra-e-shabnam ki surat jhilmilati hai
KHayal aata hai tab mujh ko
ki is duniya ki jannat mein
falakat aur ghurbat ke jahannam kyun dahakte hain
ye husn-e-arz ke
tazin o aaraish ke shaidai
gham-o-andoh ke ghaaron mein nafrat ke shikanjon mein
ba-nam-e-zindagi kyunki ajal ki rah takte hain
bhayanak raat chha jati hai phir mere taKHayyul par
to meri zehn ke mashriq se ek suraj ubharta hai
shuaon mein payam-e-johd ki tabindagi le kar
tamazat se yaqin o azm ko mamur karta hai
sahar na-ashna dil gum na kar jati hai tariki
umidon aarzuon ki KHabar lati hai tariki
KHumar o KHwab ki sari thakan main bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.