subh ke do manzar
motiyā se khile hue bachche
paak ma.asūm narm chehroñ par
sub.h kī tāzgī kā nuur liye
laal piile sajīle bastoñ meñ
apnī maaoñ kā pyaar baap ke ḳhvāb
roz schōl le ke jaate haiñ
sub.h hotī hai pheñk detā hai
zard mailā thakā thakā sūraj
paak ma.asūm narm chehroñ par
rozī roTī kī ehtiyāj kī dhuul
sub.h hotī hai kachchī bastī meñ
roz kī tarah jaag uThte haiñ
nanhe mazdūr bhole saudāgar
phuul se hāthoñ vaale kārī-gar
kār-ḳhānoñ meñ shāh-rāhoñ par
tañg galiyoñ meñ chā.e-ḳhānoñ meñ apnī qismat jagāne jaate haiñ
motiya se khile hue bachche
pak masum narm chehron par
subh ki tazgi ka nur liye
lal pile sajile baston mein
apni maon ka pyar bap ke KHwab
roz school le ke jate hain
subh hoti hai phenk deta hai
zard maila thaka thaka suraj
pak masum narm chehron par
rozi roTi ki ehtiyaj ki dhul
subh hoti hai kachchi basti mein
roz ki tarah jag uThte hain
nanhe mazdur bhole saudagar
phul se hathon wale kari-gar
kar-KHanon mein shah-rahon par
tang galiyon mein chae-KHanon mein apni qismat jagane jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.