subh se sham tak
ek shoḳhī-bharī doshīza-e-billor-jamāl
jis ke hoñToñ pe hai kaliyoñ ke tabassum kā nikhār
sēmgūñ ruḳh se uThā.e hue shab-rañg naqāb
tez raftār uḌātī huī kohre kā ġhubār
ufuq-e-sharq se iThlātī huī aatī hai
mast āñkhoñ se barastā hai subūhī kā ḳhumār
phuul se jism pe hai shabnamī zartār libās
karvaTeñ letā hai dil meñ use chhūne kā ḳhayāl
āñkheñ malte hue jaag uThte haiñ lākhoñ ehsās
ye hasīna mujhe uksātī huī aatī hai
naġhme guuñj uTThe haiñ pāzeb kī jhankār ke saath
nuqra.ī uñgliyāñ āfāq pe lahrātī haiñ
jism ke loch meñ sīmāb kī maujeñ haiñ ravāñ
lahreñ bāhoñ kī thiraktī huī bal khātī haiñ
nāchte nāchte baḌhtī hai magar ruktī huī
dil ko barmātā hai us shoḳh kā bharpūr shabāb
us kī garmī mirī sāñsoñ se koī duur nahīñ
farsh-e-maḳhmal pe bichhī jaatī haiñ us kī nazreñ
niile āñchal meñ damaktī huī shaffāf jabīñ
uTThī mashriq se to maġhrib kī taraf jhuktī huī
muzmahil chehre kī zardī meñ hai ruḳhsat kā payām
surmagīñ āñkhoñ pe jhukne ko haiñ lambī palkeñ
qurmuzī dhāriyāñ chhan chhan ke siyah zulfoñ se
jazb ho jaatī haiñ dahke hue ruḳhsāroñ meñ
zulfeñ bikhrī huī shānoñ se Dhalak aa.ī haiñ
sar jhukā.e hue muñh pher ke ḳhāmoshī se
duur maġhrib ke dhuñdlakoñ meñ chalī jaatī hai
mere dil meñ haiñ sulagtī huī yādeñ us kī
unhī yādoñ se mirī ruuh jalī jaatī hai
kitnī tārīkiyāñ chup chaap sarak aa.ī haiñ
ek shoKHi-bhari doshiza-e-billor-jamal
jis ke honTon pe hai kaliyon ke tabassum ka nikhaar
seemgun ruKH se uThae hue shab-rang naqab
tez raftar uDati hui kohre ka ghubar
ufuq-e-sharq se iThlati hui aati hai
mast aankhon se barasta hai subuhi ka KHumar
phul se jism pe hai shabnami zartar libas
karwaTen leta hai dil mein use chhune ka KHayal
aankhen malte hue jag uThte hain lakhon ehsas
ye hasina mujhe uksati hui aati hai
naghme gunj uTThe hain pazeb ki jhankar ke sath
nuqrai ungliyan aafaq pe lahraati hain
jism ke loch mein simab ki maujen hain rawan
lahren bahon ki thirakti hui bal khati hain
nachte nachte baDhti hai magar rukti hui
dil ko barmata hai us shoKH ka bharpur shabab
us ki garmi meri sanson se koi dur nahin
farsh-e-maKHmal pe bichhi jati hain us ki nazren
nile aanchal mein damakti hui shaffaf jabin
uTThi mashriq se to maghrib ki taraf jhukti hui
muzmahil chehre ki zardi mein hai ruKHsat ka payam
surmagin aankhon pe jhukne ko hain lambi palken
qurmuzi dhaariyan chhan chhan ke siyah zulfon se
jazb ho jati hain dahke hue ruKHsaron mein
zulfen bikhri hui shanon se Dhalak aai hain
sar jhukae hue munh pher ke KHamoshi se
dur maghrib ke dhundlakon mein chali jati hai
mere dil mein hain sulagti hui yaaden us ki
unhi yaadon se meri ruh jali jati hai
kitni tarikiyan chup chap sarak aai hain
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 10)
- Author : ziyaa jaalandhar
- Publication : sang-e-miil publication lahore (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.