suhag ki mehndi
raqs-e-mīnā surūd-e-jām-o-subū
bahkī bahkī bahār kī ḳhushbū
kheltī zulmatoñ ke siine meñ
marmarīñ raat ke safīne meñ
jānib-e-sāhil-e-hayāt ravāñ
hasratoñ kī javān añgḌā.ī
muskurātī sī kā.enāt-e-ravāñ
shoḳhiyāñ mā.il-e-tabassum sī
aur nabzeñ yaqīn kī gum sī
sub.h-e-ḳhandāñ bahār ra.anā.ī
ārzuoñ kī jhurmuToñ meñ hai
jānib-e-sāhil-e-hayāt-e-ravāñ
terī yādoñ ke ābgīne meñ
hai mirī talḳh-kāmiyoñ kā lahū
lag rahī hai suhāg kī mehñdī
ye samāñ aur aañkh meñ aañsū
merī majbūriyoñ pe ġhaur to kar
vaqt-e-ruḳhsat malāl-e-lā-hāsil
ab ye dost savāl-e-lā-hāsil
tū mirī zindagī kī bhiik na maañg
hai mirī talḳh-kāmiyoñ kā lahū
terī yādoñ ke ābgīne meñ
do diloñ kā milāp hotā hai
kheltī zulmatoñ ke siine meñ
zindagī maut ke safīne meñ
kaif-o-mastī ke jhurmuToñ meñ hai
jānib-e-sāhil-e-hayāt-e-ravāñ
raqs-e-mina surud-e-jam-o-subu
bahki bahki bahaar ki KHushbu
khelti zulmaton ke sine mein
marmarin raat ke safine mein
jaanib-e-sahil-e-hayat rawan
hasraton ki jawan angDai
muskuraati si kaenat-e-rawan
shoKHiyan mail-e-tabassum si
aur nabzen yaqin ki gum si
subh-e-KHandan bahaar ranai
aarzuon ki jhurmuTon mein hai
jaanib-e-sahil-e-hayat-e-rawan
teri yaadon ke aabgine mein
hai meri talKH-kaamiyon ka lahu
lag rahi hai suhag ki mehndi
ye saman aur aankh mein aansu
meri majburiyon pe ghaur to kar
waqt-e-ruKHsat malal-e-la-hasil
ab ye dost sawal-e-la-hasil
tu meri zindagi ki bhik na mang
hai meri talKH-kaamiyon ka lahu
teri yaadon ke aabgine mein
do dilon ka milap hota hai
khelti zulmaton ke sine mein
zindagi maut ke safine mein
kaif-o-masti ke jhurmuTon mein hai
jaanib-e-sahil-e-hayat-e-rawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.