suhani subh
sub.h huī aur añdherī bhāgī
haq kī ḳhilqat saarī jaagī
phūloñ se sab baaġh haiñ mahke
aur pakherū uTh kar chahke
kūkḌūñ kuuñ hai murġh ke lab par
fajr huī kahtā hai ghar ghar
jhilmil jhilmil kar ke taare
dil ko lubhā lete the pyāre
lekin vo be-chāre sidhāre
jo the falak par chāñd sitāre
sub.h ko jaate raat ko aate
apnī jhalak haiñ ham ko dikhāte
bas yahī un kā kaam hai bachcho
in tāroñ se tum bhī sabaq lo
jo kuchh bhī haiñ kaam tumhāre
mat ghabrāo un ke maare
tum ko bhī hai yuuñ hī chamaknā
dekho kaam se tum mat thaknā
duniyā meñ tum izzat paanā
daulat paanā shohrat paanā
kaam vo karnā naam ho jis se
hāsil kuchh in.aam ho jis se
sastī ġhaflat chhoḌo bhaa.ī
is se kis ne izzat paa.ī
ilm kā hai duniyā meñ ujālā
is se paḌe jab tum ko paalā
mehnat karnā jī ko lagānā
aalim ban kar izzat paanā
qaum-o-vatan kī karnā ḳhidmat
hai yahī daulat hai yahī rāhat
subh hui aur andheri bhagi
haq ki KHilqat sari jagi
phulon se sab bagh hain mahke
aur pakheru uTh kar chahke
kukDun kun hai murgh ke lab par
fajr hui kahta hai ghar ghar
jhilmil jhilmil kar ke tare
dil ko lubha lete the pyare
lekin wo be-chaare sidhaare
jo the falak par chand sitare
subh ko jate raat ko aate
apni jhalak hain hum ko dikhate
bas yahi un ka kaam hai bachcho
in taron se tum bhi sabaq lo
jo kuchh bhi hain kaam tumhaare
mat ghabrao un ke mare
tum ko bhi hai yun hi chamakna
dekho kaam se tum mat thakna
duniya mein tum izzat pana
daulat pana shohrat pana
kaam wo karna nam ho jis se
hasil kuchh inam ho jis se
sasti ghaflat chhoDo bhai
is se kis ne izzat pai
ilm ka hai duniya mein ujala
is se paDe jab tum ko pala
mehnat karna ji ko lagana
aalim ban kar izzat pana
qaum-o-watan ki karna KHidmat
hai yahi daulat hai yahi rahat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.