suKHan darmanda hai
ḳhunuk-mausam nahīñ guzrā
safar sūraj kare to abr us ke saath chaltā hai
abhī naddī ke paanī par havā ke tāziyāne se nishāñ paidā nahīñ hotā
tabar kī zarb-kārī se, shāḳhoñ se zamīñ par
pattā pattā harf girte haiñ
koī fiqara shajar ke zaḳhm-e-mohmal kī pazīrā.ī nahīñ kartā
lahū ma.anī nahīñ detā
to phir qirtās-e-ahmar ho ki abyaz rañg-e-pairāhan se
ḳhushbū-e-suḳhan nikle to jī bahle
mahaktā hai kahīñ sayyād ke fitrāk meñ naafā
mire mahbūb kā va.ada
isī tishna sitāre ke ta.āqub meñ suḳhan apnā falak mahtāb o anjum ke safīnoñ se
bharā dariyā gañvā baiThā
masāfat satr se tā-satr kis sūraj pe tai hogī
koī TukḌā falak kā haath aa.e to rajaz likkheñ
duā ke bādbāñ kholeñ
kise kis ghaaT utarnā hai?
kaho un se jo agle morchoñ se sulh kā paiġhām dete haiñ
muqābil lauh-e-mazmūn-e-tasallī bhī hai
lahn-e-ḳhud-girafta bhī
kise kis ghaaT utarnā hai
sarāb-e-rañg meñ mahv-e-safar un āhuvān-e-nāfā-e-gum-karda se, kuchh pūchho
kise kis ghaaT utarnā hai
KHunuk-mausam nahin guzra
safar suraj kare to abr us ke sath chalta hai
abhi naddi ke pani par hawa ke taziyane se nishan paida nahin hota
tabar ki zarb-kari se, shaKHon se zamin par
patta patta harf girte hain
koi fiqara shajar ke zaKHm-e-mohmal ki pazirai nahin karta
lahu mani nahin deta
to phir qirtas-e-ahmar ho ki abyaz rang-e-pairahan se
KHushbu-e-suKHan nikle to ji bahle
mahakta hai kahin sayyaad ke fitrak mein nafa
mere mahbub ka wada
isi tishna sitare ke taaqub mein suKHan apna falak mahtab o anjum ke safinon se
bhara dariya ganwa baiTha
masafat satr se ta-satr kis suraj pe tai hogi
koi TukDa falak ka hath aae to rajaz likkhen
dua ke baadban kholen
kise kis ghaT utarna hai?
kaho un se jo agle morchon se sulh ka paigham dete hain
muqabil lauh-e-mazmun-e-tasalli bhi hai
lahn-e-KHud-girafta bhi
kise kis ghaT utarna hai
sarab-e-rang mein mahw-e-safar un aahuwan-e-nafa-e-gum-karda se, kuchh puchho
kise kis ghaT utarna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.