suKHan-taraaz
shā'irī kyā hai suḳhan-sāz kise kahte hai
shā'irī niiñd nahīñ aur koī ḳhvāb nahīñ
shā'irī tere lab-o-zulf kā ik baab nahīñ
shā'irī barf meñ lipTā huā ik dariyā hai
shā'irī aag kā dahkā huā ik sho'la hai
shā'irī tiir hai siine se guzar jaatā hai
shā'irī phuul hai ḳhushbū se nikhar jaatā hai
shā'irī ret hai hāthoñ se phisal jaatī hai
shā'irī mauj hai dariyā meñ utar saktī hai
shā'irī 'ishq pe martā huā parvāna hai
shā'irī hijr kā likkhā huā afsāna hai
she'r kahnā hai to phir halqa-e-‘ushshāq meñ aa
qais ke saath bhaTak lailā ke idrāk meñ aa
sha'iri kya hai suKHan-saz kise kahte hai
sha'iri nind nahin aur koi KHwab nahin
sha'iri tere lab-o-zulf ka ek bab nahin
sha'iri barf mein lipTa hua ek dariya hai
sha'iri aag ka dahka hua ek sho'la hai
sha'iri tir hai sine se guzar jata hai
sha'iri phul hai KHushbu se nikhar jata hai
sha'iri ret hai hathon se phisal jati hai
sha'iri mauj hai dariya mein utar sakti hai
sha'iri 'ishq pe marta hua parwana hai
sha'iri hijr ka likkha hua afsana hai
she'r kahna hai to phir halqa-e-‘ushshaq mein aa
qais ke sath bhaTak laila ke idrak mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.