sukun
aaj yakāyak
jab maiñ ne terā
tazkira kiyā
achānak chauñk sā gayā
phir
ḳhāmosh ho gayā
maazī kī saarī bāteñ
yaad aane lagīñ
terā muskurānā
terā sharmānā
na kisī baat kā
gila na shikva
sādgī sādgī
aur
be-intihā pyaar
phir achānak
mujh se bichhaḌ jaanā
terī jhukī jhukī nigāheñ
aaj bhī
jaise mujh se kuchh kahtī haiñ
magar zabān ḳhāmosh hai
goyā
terā pyaar mere liye
sard ho gayā
lekin aaj bhī
terā ḳhayāl
achchhā lagtā hai
shāyad
yahī merī zindagī kā
sukūn hai
aaj yakayak
jab main ne tera
tazkira kiya
achanak chaunk sa gaya
phir
KHamosh ho gaya
mazi ki sari baaten
yaad aane lagin
tera muskurana
tera sharmana
na kisi baat ka
gila na shikwa
sadgi sadgi
aur
be-intiha pyar
phir achanak
mujh se bichhaD jaana
teri jhuki jhuki nigahen
aaj bhi
jaise mujh se kuchh kahti hain
magar zaban KHamosh hai
goya
tera pyar mere liye
sard ho gaya
lekin aaj bhi
tera KHayal
achchha lagta hai
shayad
yahi meri zindagi ka
sukun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.