sukun
na zahr-e-ḳhand laboñ par, na aañkh meñ aañsū
na zaḳhm-hā-e-darūñ ko hai justujū-e-ma.āl
na tīrgī kā talātum, na sail-e-rañg-o-nūr
na ḳhār-zār-e-tamannā meñ gumrahī kā ḳhayāl
na ātish-e-gul-e-lāla kā daaġh siine meñ
na shorish-e-ġham-e-pinhāñ na ārzū-e-visāl
na ishtiyāq, na hairat, na iztirāb, na sog
sukūt-e-shām meñ khoī huī kahānī kā
tavīl raat kī tanhā.iyāñ nahīñ be-rañg
abhī huā nahīñ shāyad lahū javānī kā
hayāt o maut kī had meñ haiñ valvale chup-chāp
guzar rahe haiñ dabe paañv qāfile chup-chāp
na zahr-e-KHand labon par, na aankh mein aansu
na zaKHm-ha-e-darun ko hai justuju-e-maal
na tirgi ka talatum, na sail-e-rang-o-nur
na KHar-zar-e-tamanna mein gumrahi ka KHayal
na aatish-e-gul-e-lala ka dagh sine mein
na shorish-e-gham-e-pinhan na aarzu-e-visal
na ishtiyaq, na hairat, na iztirab, na sog
sukut-e-sham mein khoi hui kahani ka
tawil raat ki tanhaiyan nahin be-rang
abhi hua nahin shayad lahu jawani ka
hayat o maut ki had mein hain walwale chup-chap
guzar rahe hain dabe panw qafile chup-chap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.