sukut-e-shab
fazā-e-zīst pe chhā.ī hai kaisī ḳhāmoshī
na koī shor na shevan na girya-o-zārī
na koī shikva-ba-lab hai na koī fariyādī
na koī dard kā qissa na koī zikr-e-alam
na siskiyoñ kā koī irti.āsh zholīda
na dūd-e-āh-o-fuġhāñ kī koī girāñbārī
na koī harf-e-alam hai na isti.āra-e-ġham
na koī qatra-e-ḳhūñ hai siyāhī-e-qirtās
sitam-kashoñ pe hai taarī ajiib ālam-e-yās
nahīñ haiñ aish ke naġhme to ġham ke giit sahī
kisī ke halqa-e-zanjīr hī ke saaz bajeñ
kisī kā zaḳhm-e-jigar hī chaTak ke de āvāz
kahīñ se dil ke dhaḌakne hī kī sadā aa.e
rafīqo kuchh to karo arz-e-hāl kā sāmāñ
kisī tarah to koī dil-figār le phūTe
kisī tarah to fusūn-e-sukūt-e-shab TuuTe
faza-e-zist pe chhai hai kaisi KHamoshi
na koi shor na shewan na girya-o-zari
na koi shikwa-ba-lab hai na koi fariyaadi
na koi dard ka qissa na koi zikr-e-alam
na siskiyon ka koi irtiash zholida
na dud-e-ah-o-fughan ki koi giranbari
na koi harf-e-alam hai na istiara-e-gham
na koi qatra-e-KHun hai siyahi-e-qirtas
sitam-kashon pe hai tari ajib aalam-e-yas
nahin hain aish ke naghme to gham ke git sahi
kisi ke halqa-e-zanjir hi ke saz bajen
kisi ka zaKHm-e-jigar hi chaTak ke de aawaz
kahin se dil ke dhaDakne hi ki sada aae
rafiqo kuchh to karo arz-e-haal ka saman
kisi tarah to koi dil-figar le phuTe
kisi tarah to fusun-e-sukut-e-shab TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.