suna hai maine
sunā hai maiñ ne!
ka.ī din se tum pareshāñ ho
kisī ḳhayāl meñ
har vaqt khoī rahtī ho
galī meñ jaatī ho
jaate hī lauT aatī ho
kahīñ kī chiiz
kahīñ rakh ke bhuul jaatī ho
kitchen meñ!
roz koī pyālī toḌ detī ho
masāla piis kar
sil yūñhī chhoḌ detī ho
nasīhatoñ se ḳhafā
mashvaroñ se uljhan sī
kamar meñ dard kī lahreñ
ragoñ meñ aiñThan sī
yaqīn jāno!
bahut duur bhī nahīñ vo ghaḌī
har ik fasāne kā unvāñ badal chukā hogā
mire palañg kī chauḌā.ī
ghaT chukī hogī
tumhāre jism kā sūraj pighal chukā hogā
suna hai main ne!
kai din se tum pareshan ho
kisi KHayal mein
har waqt khoi rahti ho
gali mein jati ho
jate hi lauT aati ho
kahin ki chiz
kahin rakh ke bhul jati ho
kitchen mein!
roz koi pyali toD deti ho
masala pis kar
sil yunhi chhoD deti ho
nasihaton se KHafa
mashwaron se uljhan si
kamar mein dard ki lahren
ragon mein ainThan si
yaqin jaano!
bahut dur bhi nahin wo ghaDi
har ek fasane ka unwan badal chuka hoga
mere palang ki chauDai
ghaT chuki hogi
tumhaare jism ka suraj pighal chuka hoga
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.