suna hai
sunā hai jañgaloñ kā bhī koī dastūr hotā hai
sunā hai sher kā jab peT bhar jaa.e to vo hamla nahīñ kartā
daraḳhtoñ kī ghanī chhāñv meñ jā kar leT jaatā hai
havā ke tez jhoñke jab daraḳhtoñ ko hilāte haiñ
to mainā apne bachche chhoḌ kar
kavve ke anDoñ ko paroñ se thaam letī hai
sunā hai ghoñsle se koī bachcha gir paḌe to saarā jañgal jaag jaatā hai
sunā hai jab kisī naddī ke paanī meñ
ba.e ke ghoñsle kā gandumī rañg laraztā hai
to naddī kī rupahlī machhliyāñ us ko paḌosan maan letī haiñ
kabhī tūfān aa jaa.e, koī pul TuuT jaa.e to
kisī lakḌī ke taḳhte par
gilahrī, sāñp, bakrī aur chītā saath hote haiñ
sunā hai jañgaloñ kā bhī koī dastūr hotā hai
ḳhudāvandā! jalīl o mo'tabar! daanā o biinā munsif o akbar!
mire is shahr meñ ab jañgaloñ hī kā koī qānūn nāfiz kar!
koī dastūr nāfiz kar!
suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai
suna hai sher ka jab peT bhar jae to wo hamla nahin karta
daraKHton ki ghani chhanw mein ja kar leT jata hai
hawa ke tez jhonke jab daraKHton ko hilate hain
to maina apne bachche chhoD kar
kawwe ke anDon ko paron se tham leti hai
suna hai ghonsle se koi bachcha gir paDe to sara jangal jag jata hai
suna hai jab kisi naddi ke pani mein
bae ke ghonsle ka gandumi rang larazta hai
to naddi ki rupahli machhliyan us ko paDosan man leti hain
kabhi tufan aa jae, koi pul TuT jae to
kisi lakDi ke taKHte par
gilahri, sanp, bakri aur chita sath hote hain
suna hai jangalon ka bhi koi dastur hota hai
KHudawanda! jalil o mo'tabar! dana o bina munsif o akbar!
mere is shahr mein ab jangalon hi ka koi qanun nafiz kar!
koi dastur nafiz kar!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.