suna yahi hai
ḳhamosh rahnā, kabhī sar hilā ke sun lenā
havā meñ chāñd banānā, banā ke chun lenā
ajiib daur thā chāroñ taraf udāsī thī
zamīn apnī hī tanhā.iyoñ kī pyāsī thī
kabhī sharāb kabhī shā.erī kabhī mahfil
phir is ke ba.ad dhaḌaktā huā akelā dil
ḳhud apne ghar meñ hī ghar se alag-thalag rahnā
kitāb-e-jāñ ke liye raat bhar ġhazal kahnā
ye aur baat baḌe hausle kā shā.er thā
maiñ apnī niiñd kā rūThā huā musāfir thā
KHamosh rahna, kabhi sar hila ke sun lena
hawa mein chand banana, bana ke chun lena
ajib daur tha chaaron taraf udasi thi
zamin apni hi tanhaiyon ki pyasi thi
kabhi sharab kabhi shaeri kabhi mahfil
phir is ke baad dhaDakta hua akela dil
KHud apne ghar mein hi ghar se alag-thalag rahna
kitab-e-jaan ke liye raat bhar ghazal kahna
ye aur baat baDe hausle ka shaer tha
main apni nind ka ruTha hua musafir tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.