Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sunao mujhe bhi ek latifa

Tanveer Anjum

sunao mujhe bhi ek latifa

Tanveer Anjum

MORE BYTanveer Anjum

    chup kyuuñ ho jaate ho mujhe dekh kar

    sunāo mujhe bhī

    ek latīfa

    merī sinf ke baare meñ

    merī sinf ke baare meñ

    tumhārī latīfoñ zambīl

    umr o ayyār zambīl jaisī hai

    nikālo koī nayā sadiyoñ purānā latīfa

    mahfūz karo mujhe

    jaise tum karte ho ek dūsre ko

    medical college meñ murda jismoñ chiir phaaḌ karte hue

    stock exchange meñ kārobār karte hue

    ḳhātūn siyāsatdānoñ ke bāloñ ke andāz tajziya karte hue

    chup kyuuñ ho jaate ho mujhe dekh kar

    sunāo mujhe bhī

    ek latīfa

    taaki maiñ hañsūñ

    aur taraqqī kar sakūñ tumhārī duniyā meñ

    phir banā sakūñ

    tumhāre baare meñ

    latīfoñ zambīl

    umr o ayyār zambīl tarah

    aur sunāyā karūñ unheñ

    sirf apnī sinf ke girohoñ meñ

    aur chup ho jaayā karūñ

    jab ġhalatī se tum dāḳhil ho jaao

    medical college meñ

    stock exchange meñ

    hamārī pārlemān meñ

    chup kyun ho jate ho mujhe dekh kar

    sunao mujhe bhi

    ek latifa

    meri sinf ke bare mein

    meri sinf ke bare mein

    tumhaari latifon ki zambil

    umr o ayyar ki zambil jaisi hai

    nikalo koi naya ya sadiyon purana latifa

    mahfuz karo mujhe

    jaise tum karte ho ek dusre ko

    medical college mein murda jismon ki chir phaD karte hue

    stock exchange mein karobar karte hue

    ya KHatun siyasatdanon ke baalon ke andaz ka tajziya karte hue

    chup kyun ho jate ho mujhe dekh kar

    sunao mujhe bhi

    ek latifa

    taki main hansun

    aur taraqqi kar sakun tumhaari duniya mein

    phir bana sakun

    tumhaare bare mein

    latifon ki zambil

    umr o ayyar ki zambil ki tarah

    aur sunaya karun unhen

    sirf apni sinf ke girohon mein

    aur chup ho jaya karun

    jab ghalati se tum daKHil ho jao

    medical college mein

    stock exchange mein

    hamari parleman mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now