sunahri darwaze ke bahar
larazte badan
rañg kohre meñ lipTe hue
adh-marī raushnī kā kafan oḌh kar
maut kī sar-zamīñ meñ ujāloñ pe qurbān hone se pahle
bahut der tak
apne ehsās kī aañch sahte rahe
shaam
niim tārīk rāhoñ pe māthā ragaḌtī rahī
kāñptī thartharātī shab-e-ġham ke sāñche meñ Dhalne se pahle
bahut der tak
sard fānūs ke paas Thahrī rahī
chāñd
ākāsh ke gahre niile samundar meñ tāroñ kī indar-sabhā se
bahut der tak
maut kī sarzamīñ par ujāloñ kī gul-poshiyāñ kar rahā thā
lahad-tā-lahad koī saaya na ḳhāka
qadam-tā-qadam manziloñ ke nishāñ gum
makīnoñ se ḳhālī makānoñ ke dar
taḳhtiyāñ rahne vāloñ ke nāmoñ kī le kar
bahut der tak muntazir the magar
koī dastak na aahaT
idhar
be-zabāñ shahr kī tīrgī meñ
larazte badan
kaif-o-kam ke badalte hue zāviyoñ meñ
ulajhte chhalakte bikharte simaTte rahe
aur kohre meñ lipTe hue
shāḳh-dar-shāḳh raushnī se guzar kar
salīboñ ke saa.e meñ dam le rahe haiñ
larazte badan
rang kohre mein lipTe hue
adh-mari raushni ka kafan oDh kar
maut ki sar-zamin mein ujalon pe qurban hone se pahle
bahut der tak
apne ehsas ki aanch sahte rahe
sham
nim tarik rahon pe matha ragaDti rahi
kanpti thartharaati shab-e-gham ke sanche mein Dhalne se pahle
bahut der tak
sard fanus ke pas Thahri rahi
chand
aakash ke gahre nile samundar mein taron ki indar-sabha se
bahut der tak
maut ki sarzamin par ujalon ki gul-poshiyan kar raha tha
lahad-ta-lahad koi saya na KHaka
qadam-ta-qadam manzilon ke nishan gum
makinon se KHali makanon ke dar
taKHtiyan rahne walon ke namon ki le kar
bahut der tak muntazir the magar
koi dastak na aahaT
idhar
be-zaban shahr ki tirgi mein
larazte badan
kaif-o-kam ke badalte hue zawiyon mein
ulajhte chhalakte bikharte simaTte rahe
aur kohre mein lipTe hue
shaKH-dar-shaKH raushni se guzar kar
salibon ke sae mein dam le rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.