suno
atrāf meñ apne jo phailī raushnī mahsūs kartī huuñ
to lagtā hai
ki jaise tum kahīñ par ho
yahīñ par ho
ye merā ḳhvāb mat samjho
kaho to sach kahūñ maiñ
vāqa.ī lagtā hai jaise tum kahīñ par ho
yahīñ par ho
kisī chaukhaT pe chaḌhtī ik lachaktī shāḳh par
phūloñ ke jhurmuT meñ nihāñ
phūloñ se baḌh kar ho
baḌhā kar haath koī jis ko chhū lene kā ḳhūgar ho
tilism-e-rañg se ik chheḌ sī pahroñ rahā kartī hai
kuchh aise
ki sab kuchh bhuul jaatī huuñ
achānak ḳhvāb se maiñ jāgtī huuñ
aur muḌ kar dekhtī huuñ
ek sannāTe kā aalam hai
khule maidān meñ sākit khaḌī huuñ maiñ
atraf mein apne jo phaili raushni mahsus karti hun
to lagta hai
ki jaise tum kahin par ho
yahin par ho
ye mera KHwab mat samjho
kaho to sach kahun main
waqai lagta hai jaise tum kahin par ho
yahin par ho
kisi chaukhaT pe chaDhti ek lachakti shaKH par
phulon ke jhurmuT mein nihan
phulon se baDh kar ho
baDha kar hath koi jis ko chhu lene ka KHugar ho
tilism-e-rang se ek chheD si pahron raha karti hai
kuchh aise
ki sab kuchh bhul jati hun
achanak KHwab se main jagti hun
aur muD kar dekhti hun
ek sannaTe ka aalam hai
khule maidan mein sakit khaDi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.