suno
jaan
tum ko ḳhabar tak nahīñ
log aksar burā mānte haiñ
ki merī kahānī kisī moḌ par bhī
añdherī galī se guzartī nahīñ
ki tum ne shuāoñ se har rañg le kar
mire har nishān-e-qadam ko dhanak sauñp dī
na gum-gashta ḳhvāboñ kī parchhā.iyāñ haiñ
na be-ās lamhoñ kī sargoshiyāñ haiñ
ki nāzuk harī bel ko
ik tavānā shajar an-ginat apne hāthoñ meñ
thāme hue hai
koī nā-rasā.ī kā aaseb us rahguzar meñ nahīñ
ye kaisā safar hai ki rūdād jis kī
ġhubār-e-safar meñ nahīñ
jaan
tum ko KHabar tak nahin
log aksar bura mante hain
ki meri kahani kisi moD par bhi
andheri gali se guzarti nahin
ki tum ne shuaon se har rang le kar
mere har nishan-e-qadam ko dhanak saunp di
na gum-gashta KHwabon ki parchhaiyan hain
na be-as lamhon ki sargoshiyan hain
ki nazuk hari bel ko
ek tawana shajar an-ginat apne hathon mein
thame hue hai
koi na-rasai ka aaseb us rahguzar mein nahin
ye kaisa safar hai ki rudad jis ki
ghubar-e-safar mein nahin
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 257)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.