suno
kaho ki raat nādāñ hai
ajab se ḳhvāb buntī hai
kaho ki chāñd aadhā hai
bahut bechain dikhtā hai
kaho ki sard mausam meñ
zarā sī garm chāhat hai
kaho ki naam ulfat kā
mere nazdīk baiThā hai
kaho ki yaad paiham sī
zarā sā shor kartī hai
kaho ki dil machaltā hai
zarā ranjūr kartā hai
kaho ki sard sāñseñ bhī
ajab taskīn detī haiñ
kaho ki naam us kā bhī
hathelī par likhā hai ab
kaho sab kuchh
vo jo tum ko
bahut pahle hī kahnā thā
kaho sab kuchh
magar dil ke sitāre
paas hī rakhnā
agar ye TuuT jaa.eñ to
bahut taklīf hotī hai
bahut taklīf hotī hai
kaho ki raat nadan hai
ajab se KHwab bunti hai
kaho ki chand aadha hai
bahut bechain dikhta hai
kaho ki sard mausam mein
zara si garm chahat hai
kaho ki nam ulfat ka
mere nazdik baiTha hai
kaho ki yaad paiham si
zara sa shor karti hai
kaho ki dil machalta hai
zara ranjur karta hai
kaho ki sard sansen bhi
ajab taskin deti hain
kaho ki nam us ka bhi
hatheli par likha hai ab
kaho sab kuchh
wo jo tum ko
bahut pahle hi kahna tha
kaho sab kuchh
magar dil ke sitare
pas hi rakhna
agar ye TuT jaen to
bahut taklif hoti hai
bahut taklif hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.