suqraat
yahī hotā rahā hai aur yahī hotā rahegā
ki har suqrāt ko hāthoñ se apne
zahr piinā paḌegā
ki sachchā.ī kā hāsil is jahāñ meñ
sivā.e maut ke kuchh bhī nahīñ hai
magar ye bhī haqīqat hai mukammal
ki sachchā.ī kabhī martī nahīñ hai
ki har suqrāt mar jaane se pahle
hazāroñ haq-parastoñ ko jahāñ meñ
sadāqat ke liye marne kī himmat
sauñp jaatā hai
yahi hota raha hai aur yahi hota rahega
ki har suqraat ko hathon se apne
zahr pina paDega
ki sachchai ka hasil is jahan mein
siwae maut ke kuchh bhi nahin hai
magar ye bhi haqiqat hai mukammal
ki sachchai kabhi marti nahin hai
ki har suqraat mar jaane se pahle
hazaron haq-paraston ko jahan mein
sadaqat ke liye marne ki himmat
saunp jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.