sur sangit
sur sañgīt
tāl-o-sur
sab samay kā ruup
mor hāthī
mirig narsiham
sab gatī par taal kī nāchā kareñ
aur param-ānand meñ jhūmā kareñ
tā-tā dhin-dhin tā-tā dhin-dhin
taal joḌe taal toḌe
sur ke saare bhed
sur samā.e ang ang
sur ke qaidī saut-o-āhang
kyā samundar
kyā hajar
aur kyā shajar
jin-o-parī-zād-o-bashar
be-zabāñ mizrāb-o-tār-o-bāñs-o-barg
Dhol mirdang
tabl-o-tabla
ūd-o-chang
sur sangit
tal-o-sur
sab samay ka rup
mor hathi
mirig narsiham
sab gati par tal ki nacha karen
aur param-anand mein jhuma karen
ta-ta dhin-dhin ta-ta dhin-dhin
tal joDe tal toDe
sur ke sare bhed
sur samae ang ang
sur ke qaidi saut-o-ahang
kya samundar
kya hajar
aur kya shajar
jin-o-pari-zad-o-bashar
be-zaban mizrab-o-tar-o-bans-o-barg
Dhol mirdang
tabl-o-tabla
ud-o-chang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.