surKH anaron ke mausam mein
surḳh anāroñ ke mausam meñ
resham ke malbūs se phūTā
uryānī kī dhuup kā jharnā
ā.īne meñ
gardan ke gul-dān se niklā
phuul sā chehra
āhista se
guñdhe hue bāloñ kī Daalī
gir ke ghaaT pe jhuk jaatī hai
ik lamhe ko har shai jaise ruk jaatī hai
palak jhapakte ā.īne meñ
ik ḳhūnī Daa.in kā aks ubhar aatā hai
chhat par ik fānūs kī muTThī
āhista se khul jaatī hai
jaise chiil ke par khulte haiñ
ḳhushbū rañg havā aur saa.e
us lamhe pathrā jaate haiñ
āñkhoñ kī shīshī meñ kaisī zumroñ kā tezāb bharā hai
qatra qatra
is tezāb kī lafzoñ meñ taqtīr huī hai
dekhte dekhte
aas kī sūrat
merī hī tasvīrī huī hai
surKH anaron ke mausam mein
resham ke malbus se phuTa
uryani ki dhup ka jharna
aaine mein
gardan ke gul-dan se nikla
phul sa chehra
aahista se
gundhe hue baalon ki Dali
gir ke ghaT pe jhuk jati hai
ek lamhe ko har shai jaise ruk jati hai
palak jhapakte aaine mein
ek KHuni Dain ka aks ubhar aata hai
chhat par ek fanus ki muTThi
aahista se khul jati hai
jaise chil ke par khulte hain
KHushbu rang hawa aur sae
us lamhe pathra jate hain
aankhon ki shishi mein kaisi zumron ka tezab bhara hai
qatra qatra
is tezab ki lafzon mein taqtir hui hai
dekhte dekhte
aas ki surat
meri hi taswiri hui hai
- Book : meyaar (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.