surKH gulab
ḳhvāboñ kī afsurda havā meñ rahne vaale surḳh gulāb
jañgal kī tārīk fazā meñ le ke nikal aate haiñ charāġh
raat ga.e jab chāñd kā chehra dekhte haiñ sharmāte haiñ
aur kisī ġhamgīn shajar ke saa.e meñ so jaate haiñ
dekho apne dil kī lagan meñ bahne vaale surḳh gulāb
āḳhir apne dil kī lagan meñ apnā pā jaate haiñ surāġh
yaanī ḳhvāb meñ sūraj ban ke jañgal meñ lahrāte haiñ
vo jo kisī ġhamgīn shajar ke saa.e meñ so jaate haiñ
KHwabon ki afsurda hawa mein rahne wale surKH gulab
jangal ki tarik faza mein le ke nikal aate hain charagh
raat gae jab chand ka chehra dekhte hain sharmate hain
aur kisi ghamgin shajar ke sae mein so jate hain
dekho apne dil ki lagan mein bahne wale surKH gulab
aaKHir apne dil ki lagan mein apna pa jate hain suragh
yani KHwab mein suraj ban ke jangal mein lahraate hain
wo jo kisi ghamgin shajar ke sae mein so jate hain
- Book : khvaab numaa (Pg. 27)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.