surKH sitara
tum samajhte ho ye shab aap hī Dhal jā.egī
ḳhud hī ubhregā na.ī sub.h kā zarrīñ parcham
maiñ samajhtā huuñ kisī sub.h-e-daraḳhshāñ ke evaz
qahr kī ek na.ī raat ko degī ye janam
aur us raat kī tārīkī meñ kho jā.eñge
maktab o ḳhānqah o dair o kalīsā o haram
dev-e-zulmāt kī Thokar se na pā.eñge panāh
ye shivāle, ye masājid, ye pujārī, ye sanam
rakh diye jā.eñge shamshīr ke zer-e-sāya
dast-e-mātam lab-e-fariyād, zabān o tanqīd
barf jam jā.egī afkār ke gulzāroñ par
yaḳh havāoñ meñ hī jam jā.egī kisht-e-ummīd
chāñdnī zulmat-e-sayyāl meñ Dhal jā.egī
raat kī maañg sañvāregī shuā-e-ummīd
ahl-e-fan deñge añdheroñ ko ujāloñ kā laqab
zahr ko qand, moharram ko kahā jā.egā iid
ye mirā vahm nahīñ, novel o afsāna nahīñ
dosto! ġhaur karo, aur nigāheñ to uThāo
vo jo ik surḳh sitāra hai ufuq ke nazdīk
kuchh tumheñ ilm hai kis ruḳh pe hai us kā phailāo
kaash tum us kī haqīqat pe nazar Daal sako
hai ye ik ātish-e-sad-barq-badāmāñ kā alaav
is kī kirnoñ meñ hai chaltī huī talvār kī kaaT
is kī surḳhī meñ hai umDe hue dariyā kā bahāv
is ke dāman meñ hai āsūda vo fitna jis se
jism to jism mayassar nahīñ rūhoñ ko amaañ
dil, nazar, zehn, ḳhayālāt, usuul o aqdār
sab ke sab is kī tag-o-tāz se larzāñ tarsāñ
is kī parchhā.īñ bhī paḌ jaa.e to sabza jal jaa.e
dekhte dekhte māhaul pe chhā jaa.e dhuāñ
is ke sho.aloñ kā to kyā zikr ki sho.ale Thahre
is kī shabnam bhī gulistāñ ke liye barq-e-tapāñ
tum samajhte ho ye shab aap hi Dhal jaegi
KHud hi ubhrega nai subh ka zarrin parcham
main samajhta hun kisi subh-e-daraKHshan ke ewaz
qahr ki ek nai raat ko degi ye janam
aur us raat ki tariki mein kho jaenge
maktab o KHanqah o dair o kalisa o haram
dew-e-zulmat ki Thokar se na paenge panah
ye shiwale, ye masajid, ye pujari, ye sanam
rakh diye jaenge shamshir ke zer-e-saya
dast-e-matam lab-e-fariyaad, zaban o tanqid
barf jam jaegi afkar ke gulzaron par
yaKH hawaon mein hi jam jaegi kisht-e-ummid
chandni zulmat-e-sayyal mein Dhal jaegi
raat ki mang sanwaregi shua-e-ummid
ahl-e-fan denge andheron ko ujalon ka laqab
zahr ko qand, moharram ko kaha jaega id
ye mera wahm nahin, nowel o afsana nahin
dosto! ghaur karo, aur nigahen to uThao
wo jo ek surKH sitara hai ufuq ke nazdik
kuchh tumhein ilm hai kis ruKH pe hai us ka phailao
kash tum us ki haqiqat pe nazar Dal sako
hai ye ek aatish-e-sad-barq-badaman ka alaw
is ki kirnon mein hai chalti hui talwar ki kaT
is ki surKHi mein hai umDe hue dariya ka bahaw
is ke daman mein hai aasuda wo fitna jis se
jism to jism mayassar nahin ruhon ko aman
dil, nazar, zehn, KHayalat, usul o aqdar
sab ke sab is ki tag-o-taz se larzan tarsan
is ki parchhain bhi paD jae to sabza jal jae
dekhte dekhte mahaul pe chha jae dhuan
is ke shoalon ka to kya zikr ki shoale Thahre
is ki shabnam bhi gulistan ke liye barq-e-tapan
- Book : Ye Qadam Qadam Balaen (Pg. 107)
- Author : Maulana Amir Usmani
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.