surmai hashiye
har roz
maqām-e-intiqāl par
vaqt ke tez-gām ghoḌe par savār
dā.eroñ meñ dauḌte din aur raat
girye kā be-sadā giit gaate haiñ
har raat
ālam-e-supurdagī meñ aa kar
vo
ek dūsre se khulne se pahle
yā phir
ek dūsre meñ ghulne se pahle
apnā apnā ġham apnā apnā nam
surma.ī hāshiyoñ par chhoḌ jaate haiñ
har roz
maqam-e-intiqal par
waqt ke tez-gam ghoDe par sawar
daeron mein dauDte din aur raat
girye ka be-sada git gate hain
har raat
aalam-e-supurdagi mein aa kar
wo
ek dusre se khulne se pahle
ya phir
ek dusre mein ghulne se pahle
apna apna gham apna apna nam
surmai hashiyon par chhoD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.