sarod-e-shabana
gum hai ik kaif meñ fazā-e-hayāt
ḳhāmushī sajda-e-niyāz meñ hai
husn-e-ma.asūm ḳhvāb-e-nāz meñ hai
ai ki tū rang-o-bū kā tūfāñ hai
ai ki tū jalva-gar bahār meñ hai
zindagī tere iḳhtiyār meñ hai
phuul lākhoñ baras nahīñ rahte
do ghaḌī aur hai bahār-e-shabāb
aa ki kuchh dil kī sun sunā leñ ham
aa mohabbat ke giit gā leñ ham
merī tanhā.iyoñ pe shaam rahe?
hasrat-e-dīd nā-tamām rahe?
dil meñ betāb hai sadā-e-hayāt
aañkh gauhar nisār kartī hai
āsmāñ par udaas haiñ taare
chāñdnī intizār kartī hai
aa ki thoḌā sā pyaar kar leñ ham
zindagī zar-nigār kar leñ ham
gum hai ek kaif mein faza-e-hayat
KHamushi sajda-e-niyaz mein hai
husn-e-masum KHwab-e-naz mein hai
ai ki tu rang-o-bu ka tufan hai
ai ki tu jalwa-gar bahaar mein hai
zindagi tere iKHtiyar mein hai
phul lakhon baras nahin rahte
do ghaDi aur hai bahaar-e-shabab
aa ki kuchh dil ki sun suna len hum
aa mohabbat ke git ga len hum
meri tanhaiyon pe sham rahe?
hasrat-e-did na-tamam rahe?
dil mein betab hai sada-e-hayat
aankh gauhar nisar karti hai
aasman par udas hain tare
chandni intizar karti hai
aa ki thoDa sa pyar kar len hum
zindagi zar-nigar kar len hum
- Book : Nuskha Hai Wafa(Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 23)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.